Online agar ap apne business ki promotion krte hai , koi photo share krte hai ya phir apne family movements ki koi pictures share krte hai to kabhi na kabhi apka mobile number online use ho jata hai kisi na kisi website par register krne ke liye ya login krne ke liye . Kyoki ye time ki jrurat hoti hai aur kai bar ap sirf kisi jruri kam se apna mobile number online register krke bhul jate hai . Online mobile number ka use krna bahut problematic bhi ho skta hai kyoki agar ap wo mobile number kho dete hai to wo online mis use kiya ja skta hai .
Online apko apne mobile number ko kuch important applications jaise Truecaller se kaise remove krna hai aur iska kya benefit hota hai apko sab is article me samjhaya jaega . Agar ap true caller application se apni details remove krna chahte hai to is article ko dhyaan se padhiyega .
True Caller kya hai ?
True Caller ek mobile identity application hai jis par ap kisi bhi mobile number ke owner ki details check kr skte hai agar uske kisi connection me kisi ne mobile number ki detail online enter ki hai ya phir mobile number ke owner ne true caller par ek account register kiya hai .
True Caller ek information app hai jisme ap ye bhi check kr skte hai ki apko call krne wala koi fraud ya spammer to nahi hai aur isme block calls ka bhi option hota hai jis se ap unwanted calls ko apps se block kr skte hai .
True Caller par number register hone ke bad kya hota hai ?
True Caller par agar ap apna mobile number register kr lete hai aur apni information bhar dete hai to next time ap apne mobile se kisi ko bhi call krte hai to receive krne wala user apki sab information check kr skte hai . True caller ka ek aur feature ye hai ki aagar ap truecaller par apne ap ko register nahi krte to koi koi bhi apko truecaller par apne mobile number par ek nickname de skta hai jo dusro ko bhi show hota hai .
True Caller par register krne ka sbse jyada fayda hota hai business persons ko kyoki wo apni contact list manage kr paate hai aur sbse kyada problem hoti hai girls aur ladies ko jinka mobile number online use kiya jata hai irritate krne ke liye .
True Caller par number remove krna kyo jruri hai ?
True Caller ke mobile data company hai jo ye information store krti hai ki particular mobile number ka owner kon hai , owner ka occupation kya hai , owner ke contact points kya hai aur unki contact list me kitne contacts hai , wo user Whatsapp ya kon kon si mobile applications use krta hai , SMS read ke option , true caller par mobile se jude sabhi information ek particular user ke baare me hoti hai . Company ki baat na kare aur agar dekhe ki ap ek bar true caller par register krte hai to sabhi ko apki information true caller par show hoti hai jab tak ap use remove na kare .
Iska sbse jyada mis use tb hota hai jab koi bhi telecom company apke mobile SIM ko kisi aur ke nam se issue kr deti hai aur true caller par apke nam se register rehta hai wo mobile number jiske apko kafi long term or short term problems ka samna krna pd skta hai .
True Caller par se apna number kaise remove kare ?
True Caller par apko apna mobile number remove krne ke liye aur sabhi details ko remove krne ke liye sbse phle True Caller pe se apne account ko deactivate krna hoga jis se company apke kisi data ko online show na kare . Account remove krne ke liye is process ko follow kare :
1.Phle True Caller app ke ander login kare .
2. True Caller app ke ander apko > Settings option milega > Privacy Center par chale jana hai .
3. Privacy Center me apko Deactivate Account ka option milega .
Yaha se ap apna truecaller account permenantly disable kr skte hai . True Caller par account deactive krne ke bad company ke pas to apka data rehta hai par uske alawa online kisi ko bhi apke mobile number ki details show nahi hoti . Sirf account deactivate krna hi solution nahi hai kyoki apko True Caller ki list se apne ap ko delist bhi krna hoga jiske liye ap True Caller Unlisting wale link par jakar apko check krna hai ki apka mobile number list hai ya nahi waha se bhi apko apna mobile number remove krna hai .
Must Read : One Nation One Ration Policy hui Activate – Update nahi kiya to Rashion Nahi Milega
True Caller aur Online sabhi websites se apna mobile number kyo remove kare ?
True Caller aur Whatsapp aur online bahut saare applications hai jaha par ap apna mobile number register kr lete hai aur phir bhul jate hai ya phir apna mobile number lost kr dete hai . Is me agar wo mobile number kisi aur ke nam par new issue ho jata hai to apko telecom company me complaint krna bhi mushkil ho jata hai aur dusra user apke mobile number se registered facebook IDs ya phir apke personal accounts ka misuse kr skta hai .
To hmesha on the safe side agar ap kisi mobile number se apna koi account banate hai to usko ek diary par likh len taki ap use badme remove kr sake . Agar ap is article se jude koi sawaal puchna chahte hai to ap hame niche comment section me comment krke bta skte hai .