Agar ap ek new business setup karna chahte hai aur apko investment ke liye fund sources bhi limited hai to kuch aisi business ideas choose kr skte hai jisme apko high profit or high risk to hai par investment apki low hoti hai . For instance, agar ap Indian stock market me dekhe to apko invest krne me sirf 5000 se bhi invest krke daily gain 3000 se 4000 kr skte hai . Ap apka question hoga ki share market me do hi option hote hai equity aur debt jisme ap apne paise invest krke aur un stocks ko hold krke ap market me earn kr skte hai . Par agar ap check kare ki ap 5000 me kitni bhi equity le le par ap 200 ya 500 se jyada ap profit nhi kama paoge lekin agar ap wahi market me thodi knowledge gain krne ke bad ap future aur options me market me invest krte hai sirf 5000 se to ap us se aram se 3000 se 5000 ka profit bana pate hai .
To upar apko sirf ek example diya gaya hai ki apko apna working style change krna hota hai , to apki investment bhi secure rhti hai aur apko return bhi acha mil jata hai . Upar wale example ko sirf risk reward ko samajhne ke liye btaya gaya hai na ki share market me investment ko promote krne ke liye . Agar ap koi new business shuru krna hai to is post me apko ek aise business idea ke baare me btaya gaya hai jisme ap low investment me acha profit kama skte hai .
Ceramic Business : About
Ceramic Business agar normal terms me baat kare to ek aisa business hai jisme agar ap ek achi sub category chun le to apko low investment me bhot ache returns mil jate hai par apko is business ko shuru krne ke liye sabse phle ye jan na hoga ki ceramic business hota kya hai ?
Ceramic Business ko basic se shuru kre to ap apne house me toiletary ka saman dekhte hai , sand cups dekhte hai , toilet seats , washers . bath tubs . tubes , pipes and copper taps and fittings dekhte hai , ye sab products apko kisi ek shop par nhi milta kyoki apko ye sab products kisi sanitary ware ya kisi hardware fittings ki shop par hi available hota hai to isme bhot si sub categories hoti hai . Ceramic business basically un products me deal krta hai jo ki normal house me sand fittings hoti hai jaise toilet seats , bath tubs, tiles etc . Ise ap rock ka business bhi keh skte hai .Ye ek cost efficient business isliye hai kyoki agar ap is business ki intial cost dekhe to kisi bhi manufacturer ko rock foreign market se import krke ya phir land purchase krke use extract krna hota hai aur use household goods banaye jate hai .
Ceramic Business : Investment and Formalities
Ceramic Business me agar investment ki baat kare to ap minimum stock 50000 se lekar use apne near by area me koi shop lekar kam shuru kr skte hai aur is kam me apko manpower ki bhi jyada jarurat nhi hotu bas apko kam ki puri knowledge honi chahiye . Agar ap ceramic business shuru krte hai to apko apona pura stock ek aisi jagah se lena hai jaha apko costing sab se kam se kam pade ,sath hi apko transportation me problem na ho kyoki is product range me apki transportation bhot jruri hoti hai kyoki ye business ke aise material ka business hai jo ki easy breakable hai or somewhat costly material ka b hai . Agar market ki baat kare to India me ceramic business ko shuru krne ke liye ap stock kahi se b le skte hai lekin sabse jyada variety apko Gujarat ke Morbi shehar me mi jaegi jise India ka Ceramic hub b bolte hai .
Morbi Gujarat me apko ceramic tea cups se lekar , ceramic cupboards , tiles , flooring , mats aur b bhot kuch mil jata hai . Agar formalities ki baat kare to is business me invest krte waqt appko khas baato ka dhyan rakhna hai ki apke pas :
- Business Incorporation certificate ya Business Registration hona chahiye busienss ka current account khulwane ke liye .
- Apke pas business ka GST Registration hona chaihiye kyoki ceramic business me ap na sirf ceramics lete ho par us se judi baki accessories bhi lete ho jo kuch hadd tak costly ho jati hai jaise taps , pipes , fittings , pvc fittings etc , so un sab kli billing ke liye apko gst lene ka fayda ho jata hai .
- Apke pas ek transport agency ke sath partnership krni hogi taki ap Gujarat se apne state me bina kisi problem ke apna saman safely manga sake.
Hope , apko ye post achi aur informative lgi hogi . Is post me apko btaya gaya hai ki ap kaise apna Ceramic Business ko shuru kr skte hai aur isme kitni investment hogi aur apko ek approx estimate return ka btaya gaya hai . If you have any comments or queries related to this post , then you can place your feedback comments down in the comment section below .