find job online , job online , find job , private naukri , private job

Finding a Real Job Online ! – Yogyta Anusar Job Kaise Dhunde

Hello friends ,

Welcome back to Ondigit.in , hope you are all doing well .

Kai baar apke liye mushkil hojata hai ek sai source dhundna jaha se app apne liye ek achi nokri dhund sako , especially agar ap kam padhe likhe ho ya phir apke pas koi trained skill na ho .

Introduction

 

Hmare blog ki is post ka vishay hi yahi hai ki ap apne liye ek achi job ya ek acha career kaise dhund skte hai . Friends is post me koshish ki hai hain apko ache se samjhane ki , ki agar apke pas zero investment hai to ap apne liye nokri kaise dhund skte hai aur agr limited investment hai to apne liye ek acha business plan kaise khada kr skte hai .

Dosto is badti mehngai me income ke sath kharchon aur savings ka balance bnakar chalna bhot jruri hai . 2020 me pure vishv ne corona ki mahamari ko face kia aur ye jana ki zindagi me ek achi savings aur health insurance hona kitna jruri hai .

Yadi ap ek achi nokri dhundne me kamyab hojate hai to ap apne liye kuch achi savings bana skte hai .

Also Read : Youtube Shorts me Channel Growth kaise Boost Kare – Optimise Youtube Channel Growth with Shorts

Apne liye Achi Nokri Kaise Dhundhe ? – How to Search for a Good Job ?

 

Kisi bhi naukri me yogyta dhundne ke liye ye janna jruri hai ki apki education level yani apki padhai likhai kitni mazboot hai .

Shuruwat krte hai ki agar ap kisi karan ki wajah se school nhi ja pae aur ap anpadh reh gae to ap in nokrio ke liye avedan kr skte hai

1. Gardener Jobs – Bagiche Mali ki Job

2. Driver Job – Gaadi chalak ki job

3. Cleaner Job – Safai Karamchari ki job

4. Security Guard / Peon – Suraksha Karamchari ki Job

5. Helper – Dukan / Showroom / Hospital ya anya jagaho par Helper ka kam kr skte hai .

Upar die gae sabhi pado ya nokrion ke liye ap avedan kr skte hai jisme apko private agar ye jobs dhundni ho to ap apne nazdigi kisi employment agent se baat kr skte hai ya ap online government ke portal se in nokrion ka avedan sidha kr skte hai .

Agar ap 5th pass, 8th pass , 10th pass ya 12th pass hai to ap kuch is prakar ki nokrian dhund skte hai

1. Lab Assistant – Hospital ya koi private nursery me assistant .

2. School Teacher – Primary ya chhote bachon ke school teacher bn skte hai .

3. Petty Accountant – Shop ya Kisi bhi Mall me app Munim yani accountant ki job kr skte hai .

4. Repair Mechanic / ITI Mechanic

5. Courier / Boy Delivery Boy

Toh ap dekh skte hai yadi ap apne ap ko shikshit aur thoda kabil bnate hai to ap apne ap kai saari nokrio ke liye eligible ho jate hai . Apko apki shiksha ke anusar ke jayada paise ki job automatic mil jati hai .

Agar ap apne liye upar btayi gai nokrian dhundna chahte hai to ap online job portals jaise naukri.com, indeed.co.in ya phir olx jobs se dhund skte hai .

Pr dosto upar btaye gae portals me apko bas ye dhyan rkhna hoga ki ap kisi bhi tarah ki galti na kare aur kisi ko bhi kisi job ke liye koi paise nhi de .

Also Read :GST Registration Jruri hai ya Nahi ? – Business Advice

Agar ap Graduate to Kaisi Jobs Dhunde

 

Agar ap BA pass h , B.com pass ya kisi aur subject me graduate hai to ap apne liye ek acchi salary wali job dhund skte hai . Bas jrurat hai to apko education ke sath kuch practical training ki . Friends bina practical training. Ke apko koi bhi job milna bhot mushkil hojata hai , dhyan rakhiye aagr apko apke college me ya apke institute me apki education ke samay koi job ya training ka moka milta hai jiski apko payment nhi milegi to use jrur kijie kyoki ek baar sikha hua talent hmesha kam ata hai aur us waqt apko payment ki tention nhi leni chahiye .

Kuch genuine job portals par ap sabhi prakar ki nokrian dhund skte hai jaise naukri.com , indeed.co.in , olx.in , workindia.in etc.

Also Read : Free Hosting Vs Paid Hosting – Kaisi Hosting Rhegi Apke liye Behtar

Job nhi Krna chahte to kya karen ?

 

India ke job system me agar ap manakar apne liye kuch aur behtar scope chahte hai to ap apna khud ka business bhi shuru kr skte hai pr koi bhi business shuru krne se phle kuch baaton ka dhyan rkhna pdta hai . Inhe phle dhyan se samajhiye .

Apki investment shamta kya hai – Hr business ki buniyad hoti hai apki lagai gai investment , agar ap 1 lakh rupaye se kam investment me bsuknsss ahur krna chahte hai to ap kewal in profitable business me ja skte hai jaise food stalls , fruit shops ,barber shops ya koi b choti shops khol skte hai .

Kam investment me apna business kaise shuru kare – Business Ideas

Har businessman ka man na hai business har halat me ek naukri se acha hai jb tk weh puri mehnat aur investment ke sath kia jae .

Toh sbse badi baat ap pd skte hai ki kisi business ko chalane ke liye mehnat aur investment dono chahiye par agar apki investment hi kam.hoginto ap kitni bhi mehnat kare ap business me kabhi safal nhinhonskte .

Ab suppose apki investment value 20000 se lekar 1 lakh tk h to apke liye ye kuch ideas kam kr skte hai – Mobile repair shop, laundary business , courier franchise , food stalls , sweet shop , kiryana store etc jo ki ap choti investment me shuru kr skte hai .

Agar apki investment 2 lakh se jyada hai to ap ek hardware store , clothes showroom ya food mart ya hotel hi khole kyoki dosto in kamo me apki investment kam hoti aur apko yhi salah rhegi ki inhen ap kewal apne kharide hue shop se kare , agar ap rented place se ye sb business krte hai to apke liye bachat krna mushkil ho skta h depending on market location .

So friends , I hope apko ye samajh agaya hoga ki apni yogyta ke anusar apne liye private job kaise dhundhe . Aur agar Job na kar sake to apne liye naya business konsa shuru kare .

Agar post achi lagi to ise share jrur kare .

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *