gst registration , gst registration cancellation , gst registration arn , gst registration for retailer , gst filing for retailer

GST Registration Jruri hai ya Nahi ? – Business Advice

Hello friends ,

Is blog me apk liye koshish ki gai h ache se samjhane ki, ki agar apne apna naya business shuru kia h ya ap apne chalte business ke liye Gst lene ke bare me soch rahe h , toh kya wo thik h ?

GST , India me 2017 me lagu kiya gaya tha is sbse bada benefit ye hua ki ab tax milakar ek tax hogaye lekin sbse bada nuksan ye hogaya ki grib se garib vyakti ko bhi ab hr saman pe tax dena padta h.

Government ka kehna hai ki agar bataye gaye rule ke hisab se agar apka business turnover yani apke business ki sale agar ek saal me 40 lakh se upar h to apko GST me registration lena jaruri .

Agar ap kisi anya prakar ke vyapari hai jaise ecommerce seller ya exporter to bhi apko GST registration lena jaruri hai .

Par ye post kewal unke liye hai jo gali mohalla me , ya industrial areas me small shop ya factory chalate h indirectly unka manufacturing ya retail ya wholesale ka business hai .

GST Registration for a Factory

Suppose ap ek Factory chalate hai aur apki sale har saal 40 lakh se jyada hojati hai to apko GST lena jaruri hai . GST Registration krane se apko un sabhi raw material ka credit mil jayega jo apne apna product banane ke liye kharide the aur ap is credit ko customer ko bhi de payenge .

GST Registration for Retail Shop

Suppose apki choti hardware shop hai aur apka 90% product GST lagne ke bad apko milta hai . Yadi ap GST Registration karwa lete hai to jo b saman apne apni dukan ke liye liya hai use ap apne customer tk de sakte hai lekin agar apke pas GST Registration bhi to ap ka GST apke supplier dwara hi jama hoga direct to government .

Important * Agar apki saal ki sale 40 lakh se kam h aur ap GST Registration lene ki soch rahe h to humari yhi advice rahegi GST Registration mat lijiye . Isme apki compliance cost aur apke tax ka paisa bhi vyarth block rehta hai .

Agar ap GST Registration le chuke hai to ye bhi bahut jaruri hai ki ap apne GST ko sahi samay par file kre aur bilkul sahi calculate show kre.

GST Registration ke fayde

GST me ki gai purchase pr jo input mila hai use customer tk pass kia ja sakta hai . Jo ki credit ledger me pada rehta hai .

GST me ap billing karte hai to apko asani se udhar mal bhi mil jata hai kyonki GST ek aisa proof jo apke business ko legal proof deta hai aur log ap pr bharosa karte h .

GST Registration ke Nuksan

GST Registration ke bad sabse bada jhanjhat hota hai har mahine iski returns bharna aur tax ki challan bana kar payment karna . Isme agr ek CA ki help li jaye to wo bhi ek saal ka kam se kam 12000 rupaye tk ap se lega .

GST registration hone ki wajah se apko hr waqt apne stock ka dhyan rakhna padega taki wo GST ke stock se kabhi bhi mismatch na ho , kyonki GSt me apne jo purchase dikhayi hai sahi apki sale se match honi chahiye .

GST me agar ap ek din bhi return bharne me late hojate h to apko uski 200 rupaye ke hisab se daily penalty bharni pdyi hai jo ki ek chote dukandar ke liye extra kharcha sabit hoti hai .

GST registration kaise kare – How to Register in GST 2021

Agar ap GST Registration karna chahte hai to bilkul simple words me apko puri jankari niche di jayegi .

GST registration ke liye apko business proof ke liye electricity bill , owner ke identity documents jaise PAN card , adhaar card , aur photo chahiye .

GST portal pr jakar – gst.gov.in

User services > Registration > New Registration pe Click kare .

Sabhi purple tabs me details bhare aur documents sahi se upload kare .

Form ko submit karden.

GST portal dwara ek ARN apki email Id aur registered phone number pe bheja jayega jise apko samay samay pr check karte dekhna hog.

Apko phir se sachet karna chahunga agr ap chote vyapari hai aur apka business abhi itna bada nhi hua jis se apko turnover 40 lakh nhi hua to ap GST registration mt lijie is se apke kharche aur bhi kam h

Hope apko ye post achhi lagi agar GST se jude ap koi sawal puchna chahte hai to niche comment kijie aur post ko share bhi kijie .

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *