Hello friends ,
Hope you are all doing well …
Introduction
Dosto hame pata hai ki life me entertainment ka hona kitna jruri hai , kabhi kabhi ap travel krte hai , kabhi relax krte hai ya kbhi sirf time ka sadupyog krne ke liye news dekhna chahte hai , uske liye apko ya to internet se connected hona jruri hota hai ya to TV dekha.
Internet to ap kisi bhi mobile me ek internet plan lagakar kabhi bhi chala skte hai pr ya ap Apne actual TV ke alawa kahi aur tv dekh pate hain,ya kya apke liye abhi tk possible ho paya hai ki ap.jab chahe tb tv dekh ske .
Hame pata h possibly not !
India market me JIO Sim ajane se ap sabhi wo kam ab kr parahe hai jo hm ajtak nhi kr pate the.
JIO SIM ke Bina JIO TV DEKHE
Agar ap JIO Sim user hai to ap JIO TV ko apne mobile me kabhi bhi chala pate ho wo bhi bilkul free . Par bhot se users ka kehna hai ki wo dusre SIM jaise BSNl , Idea etc bhi us kerte hai jisme wo mobile TV dekhan chahte hai pr TV nhi dekh pate .
Toh dosto apki yhi pareshani dur krne ke liye is post me apko ache se bataya gaya hai ki ap bina JIO sim ke apne phone me Mobile TV kabhi bhi kaise dekh skte hai .
Niche batayi ki trick me apko ek smartphone to chahiye hi sath hi Btaden ki apko ye trick Airtel ke SIM se try nhi krna hai kyoki ye bharat me kuch jagaho pr Airtel Sim ke sath kam nhin kregi .
Hm ye man kr chal rahe hai ki apke pas Google playstore wala ek smart phone hai jiske ander ap android apps download or install kr skte hai .
Also Read :Google Account ko Secure kaise Kare – How to Secure your Google Account
Ab apko playstore khol kr search karna hai JIO mobile tv , jaise hi ap ye search krte hain apko JIO tv ka app dikhayi dega , use ap install kr lijie apne mobile me .
Agar ap soch rahe h ki jio tv app sirf jio sim pe chalta hai to aisa nhi hai ap , jio tv app ko kisi bhi mobile pe install krke tv dekh skte ho .
App install.krne ke baad apko app ko net ki madad se chalana hai , jisme apko login ya register krne ke liye ek jio sim chahiye . To ap apne kisi friend ya relative ka jio number isme.dal sakte hai login krne ke liye apko number pe ae otp ko dalna hoga.
Jaise hi ap app me login hojate hai to ap apne mobile.me tv chala sakenge , bas , login krne ke bd ap kabhi bhi apne sim me net chala ke tv dekh skte hai .
Jio tv app me hi ap ab tv dekh skte hai agar ap koi aur webseries ya koi indian show dekhna chahte hai to ap voor , sony liv download kr skte hai .
Also Read : Online Indane Cylinder Kaise Book Karen – Learn how to Book Cylinder in India
FAQ
1. Jio tv dekhne k koi charge hota h ya nhi ?
– Ye bilkul free h iska koi bhi paisa nhi dena .
2. Kya ye life time free hai ?
– Yes Jio tv Life time free hai , jab tk iske liye koi policy change nhi ata .
3. Jis JIO sim se jio tv app me login kia , kya uspe recharge hona jruri hai kisi or sim se TV dekhne ke liye ?
– No , Jis jio sim se login kia tha uspe recharge bhi na ho tb bhi ap dusre sim se jio tv dekh payenge .
I hope apko ye post achi lgi hogi , aisi aur bhi informative aur interesting posts ke liye niche commnt kare .
Is post ko share jrur kre .