SEO Tips , blogger seo , seo for 2021 , how to do seo

What is SEO doing and how it can be made easy for newbie blogger ?

Hello friends ,

Hope you are all doing fine !

Agar ap koi website chalate hai ya koi new website shuru krne ke baare me soch rahe h to apko SEO ki knowledge hona bahut jruri hai .

Hmare ane wale blogs me apko ache se samjhane ki koshish ki gai hai ki ap step by step new website kaise shuru kr skte hai aur sath hi dosto hamne apko.pichli post me bhi bataya tha ki agar ap website ke liye hosting khoj rahe hai to apko free hosting vs paid hosting pr hmre dwara di gai purani post pad leni chahiye .

Introduction

SEO ek website ki neev hai jo ise google ya sabhi search engine pr ek jagah deti hai , agar apki website ka SEO acha nhi h to apki website ke organic traffic yani apki website ko pdne ke liye bhot hi kam users aenge or apko wo revenue generate nahi ho payega jo ap expect krte hai .

Website SEO me kuch simple.step me ache se complete kia ja skta hai , agar ap SEO ke baare me Youtube pr search krenge to apko kafi lambe lectures me actual.me SEO krte kaise hai wo koi nhi batata bs apko ye btate hai ki SEO hota kya hai .

Toh friends is post me apka SEO ki definition wagera btane me.time waste nhi karenge aur sidha dekhenge ki ap ko apni website kaise optimise krte hai aur SEO behtar kaise bnate hai .

Also Read : Google Account ko Secure kaise Kare – How to Secure your Google Account

Best Website SEO Plugin in WordPress

 

Friends agar apko ek behtar website bnani hai to hmari recommendations yhi hai ki ap apni hosting pr wordpress install krlo aur apni website khud se design kro .

WordPress me apko SEO easy krne ke liye bhi asan kam.kia gaya hai , apko bas apni website me ek plugin jiska nam Yoast Plugin h wo install krna hai aur activate krna hoga .

WordPress kaise install krte hai to ap youtube pe video dekh skte hai , hm is ke apka time waste nhi krenge . Apko sidha SEO plugin – Yoast SEO ke bare me btate hai .

Yoast SEO – Ye ek aisa plugin h jisme a to z ap apni puro website ka SEO kr skte hai , agar apka budget acha h to ap iska paid version bhi le skte hai pr agar ap free se shuruwat krna chahye to ap ise use kr skte hai . Is plugin me me apko post seo jaise description , meta tags , meta slug ,meta keywords dalne ke kai option mil.jate hai , isme ap website seo jaise pages seo , website description meta content likh skte hai . In terms k baare me janne ke liye ap comment kr skte hai .

Yoast SEO pe apni har post aur page ka SEO jrur kren kyoki is se apki website ka traffic aur user base bad jta ahai aur google ko apke content ke bare me pata chal jata hai .

Also Read : Online Indane Cylinder Kaise Book Karen – Learn how to Book Cylinder in India

Other SEO Tools and Plugins

 

1. Site Kit by Google – The most important SEO plugin for websites . It has been specially designed by google for new bloggers to help them automate their website SEO . Site Kit by Google apne automate ke deta h apka google analytics registration, google webmaster registration , google keyword planner etc . Isme apko.koi bhi registration nhi krna hota ye plugin apke website ka automatic registration Google ki sabhi services me kr deta hai .

2. Table of Contents – Agar apke page ya post ka content well organized h to ye google aur user to padne me bhot acha lgta hai . Sathi google un websites ko rank kr ta hai jisme organised content hota hai aur jinki viwership achi hoti hai .

Ye plugin apki post ya page ki head line yani H1 tag me likhi hui lines ko utha kar use post ke sabse upar ek table of contents ya index ki tarah pesh krta hai jis se apki post ki summary bhot hi informative lgti hai aur apke blog ka content kam time me summarize krne me asani rehti hai .

3. Error 404 Remover : Is plugin ko website optimise krne ke liye use kiya jata hai kyoki agar apki website me kuch aise links reh jate hai jo broken hain ya unme koi problem h to.user ko.lgta hai ki content well organized nhi h h a website abhi ache se tyar nhi hai jiski wajah se user experience kharab hojata hai .

Is plugin ka.main kam hai apki website se sbhi broken links or pages ko hatana aur website ke main domain pr le ana jis se user kbhi website ke khrab page tk na pahunche for example agar :

https://ondigit.in/error-404

Upar wale link ka ane ka mtlb hai ki.ye page koi dekh nhi par rhaa aur meri website kuch content problem.h , ise hatane ke liye jaise hi plugin install hoga to website har error 404 link convert ho jaega website ke home se .

For example :

Agar apka link hai

https://domain.com/error-404

To ye plugin se convert hojayega

https://domain.com

Toh friends agar apko.apni website ko lekar SEO men koi problem arahi hai to ap niche comment me.hmse puch skte hain.

Hope, You’ll like the postand also please do share . 

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *