whatsapp flash call feature , flash call, online whatsapp flash call ondigit , ondigit,in , ondigit in ,

What is so Unique about the New Whatsapp Flash Call Verification Feature ?

Abhi tak Whatsapp par account banane ke liye aur whatsapp ko use krne ke liye koi charges nahi liye jaate the . Whatsapp par account banana bhi bilkul free hai lekin kuch online news ke mutabik Whatsapp apna ek naya feature launch krne wala hai jiska nam hai Whatsapp Flash Calls Verification option . Is option ke baare me abhi sirf Whatsapp ne apne official handle par btaya hai lekin is feature ke baare me kuch khaas details me nahi bataya gaya hai .

Whatsapp ne apne latest update notification me btaya ki wo jald ek aisa system launch krne wala hai jisme mobile number verify krne ki bjaye user apne Whatsapp account me kisi aur tarike se login aur Whatsapp ko use kr paega. Isme ye bhi ho skta hai ki Whatsapp apne calls ke liye logo se charge kare ye calls krne ke liye ek separate verification ka option on krde jis ka nam hoga Whatsapp Flash Calls Verification feature . Is feature ke baare me aur janne ke liye is post ko pura padhe.

Whatsapp Flash Calls Verification kya hai , Isme Flash Calls verification ki jarurat kyo padegi aur is feature se Whatsapp ya apke Whatsapp use krne ke tarike me kya changes aenge sab apko is article me explain kia gaya hai .

Whatsapp Flash Calls Verification Feature kya hai ?

Whatsapp ne apne latest update notification me btaya ki Whatsapp Flash Calls Verification , Whatsapp me include hone wala ek naya feature hai ko ek api ki tarah kam karega aur sabhi mobile applications ko permission dene me help karega Whatsapp se data lene me . Whatsapp Flash Calls Verification se Whatsapp team ne btaya ki is feature se mobile android applications apke mobile ki call history pad paenge wo bhi bina apke chat history check kare .

Ye feature abhi android mobiles ke liye launch kiya jaega jisme ye phle kuch users ke mobile par testing purpose ke liye dala jaega . Flash Calls Verification feature ko IOS devices ke liye design nahi kiya gaya hai kyo ye ek API hai jo IOS devices support nahi krte . To ise phle android devices par check kia jaega .

Is verification se Whatsapp users ke liye ye bhi asan ho jaega ki wo apne account me login without OTP kar paenge jisme unko ek verification mechanism se introduce krwaya jaega.

Also read : India me Jaldi Shaadi Rishte ke liye Websites Dekhe ya Mobile Applications

Whatsapp Flash Calls Verification me hame kya karna hai ?

Whatsapp Flash Calls Verification option se sath kuch naye updates jaise Users apne mobile me apna Whatsapp status apne friends se hide kr paenge aur wo select kar paenge ki wo kis kis ko apna status dikhana chahte hai . Ye option unhe status dalte hue show kia jaega . Sath hi Whatsapp par ‘ Online ‘ status ko hide krne ka bhi option Whatsapp ne apne WABETAINFO channel ke through diya .

Aane wale update me users apne Online status ko sabhi logo se chupaane ki bajaaye kuch hi logo se chupa skenge aur wo apne contact list me se users ko apka Online status na dikhe wo option bhi apko Whatsapp par dekhne ko milega . Ye feature abhi Whatsapp par roll out nahi hua hai aur aane wale time Flash Calls Verification waale version me is feature ko bhi roll out kia jaega .

Flash Calls Verification option me apko Whatsapp par kuch nahi krna hai bas apko apna Whatsapp update krna hai aur agar ap Business Whatsapp use krte hai to ap is feature ka use apne PC me kr skte hai .

Also read : Why HSBC Cashback Credit Card is All Time Best for Shopping Online for Students and Jobs Persons ?

Whatsapp Flash Calls verification ke benefits kya hai ?

Whatsapp Flash Calls Verification enable krne ke liye apko apna Whatsapp version ko update krna hai . Jaise hi ap isme new version download kr lete hai to ap ko Whatsapp par sab permissions enable kr deni hai . Flash Calls On hone ke bad, apne mobile me se Whatsapp apka mobile number automatic utha lega aur apke mobile number select krne par automatic apke mobile par verification call kr dega . Call ane ke bad apko call accept krni hai aur apke Whatsapp account verify ho jaega .

Whatsapp Flash Calls ka benefit hai ki apko koi OTP manual type krne ki jarurat nahi rahegi aur apka Whatsapp account apke mobile me instant bina koi time lagaye login ho jaega. Is feature ka sbse beneficial point hai ki koi apka Whatsapp account kisi aur account me login nahi kr paega.

Benefits of Whatsapp Flash Calls Verification Option

  • Ye ek optional feature nahi hoga , to iski wajah se apka Whatsapp Account aur bhi secure ho jaega .
  • Enable krne ke bad ap apna Whatsapp account sirf apne mobile par login kar paenge .
  • Is feature se ap ya koi aur OTP se login nahi krna padega , apka Whatsapp account automatic loginho jaega .

Kya Flash Calls Verification krna jruri hai ?

Whatsapp apne new features jald launch krne wala hai jisme ek new feature hoga Group ICON Editor jisme apko inbuilt image editor milega jisme ap apne Group ke icon ko online hi create aur edit kar paenge . Sathi hi Flash Calls verification ko enable krne ke liye apko koi option nahi diya jaega . Ap Whatsapp tabhi use kr paenge jab ap Whatsapp ko ” All Permissions ” de denge .

Sabhi permission dene ke bad , automatic Whatsapp apka mobile number check kr lega aur us par ek call krega jis se apka mobile number automatic verify ho jaega .

Also read : Over Eating at Night ? – Know How you can face Bulimia Nervosa Problem in USA

Whatsapp par Flash Calls Verification kaise check karna hai ?

Whatsapp Flash Calls Verification option abhi apne BETA Version or underdevelopment stage me hai jisme Whatsapp ne is feature ke liye abhi sirf ke update jaari kia hai . Is update ko kab release kia jaega iska koi official notification nahi hai .

Whatsapp me Flash Calls Verification on karne ke liye apko Whatsapp ko latest version me update krna hai aur apko us application me sabhi permissions enable kr dena hai .Apko is feature ke baare me aur bhi details Whatsapp ke About section me dekhne ko mil jaegi jis bhi version me is feature ko add kr diya jaega .

Agar ap is feature ke baare me aur janna chahte hai to aap hame niche comment section me comment krke bta skte hai . Don’t forget to share this post on social media also .

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *