Web hosting , paid hosting , free web hosting for website, hosting plans online

What is Web hosting and domain ?

Hello friends ,

Hope you are all doing fine .

Har beginner ke liye te possible nhi hota ki wo kisi website engineer ya web developer ko hire krke ek website tyaar krwae, ho skta h isme apke 5000 se lekar 50000 rupaye tk lag jae . Website bnana aur use manage krna ana chahiye , ye hr us insaan ko khud se sikhna chahiye jo apni website khud bnana chahta hai aur jiske pas itne funds nahin h ki wo ek developer ko pay kr ske .

Aj kal to ap Youtube se dekh kr bhi apni website tyar kr skte hai pr jo kuch basics steps h wo aj m apko is post me clear clear btadunga, taki ap apni website ko ek start de ske aur ap use ek live website ke roop me dekh ske .

Kisi bhi website ko samjhane ke liye apko sbse phle samajhna hoga ki apko apni website ki hosting kaise manage krni hoti hai aur domain kya hota h jise ap lekar apni website shuru kr skte hai .

Introduction

Website creation ya management bhot asan h bas shuru apko kuch chaiye to wo h ek domain aur kisi bhi company ki web hosting . Apko agar web hosting ka kuch overview chahiye to ap hmari ye post pad skte h jisme btaya hai hosting kya hai aur paid aur free hosting me kya fark hota hai .

Also ReadWhat is SEO doing and how it can be made easy for newbie blogger ?

Web Hosting

Web hosting ki ek simple definition di jae to ise ek online space kehte hai jispar ap apni website ka data store krte hai , simple bhasha me kaha jae to ap ko apni website ka jo b data h wo online ki storage me rakhna padta hai jis se jb b website ko khola jae to website apna data hosting se uthakar user ko usme dia gaya data dikha ske .

Hosting ki jrurat tb pdti hai jb apko ek aisi website bnani ho jisme ap bhot saari post dalna chahte ho , files upload krna chahte ho, images ,videos , softwares ya aur bhi bhot files store krna chahte ho .

Agar ap ek single page ki website bnana chahte hai jaisi ki hotel promotion website ya Official company brochure website , to apko isme hosting ki jrurat nahi padti bas apko ek domain kharidna hai aur apka domain provider hi apko itni storage free de deta hai ki ap usme ek single page ki website bana ske .

Ab ye domain kya hai iski baat ham thoda bad me karenge . Phle web hosting ko thik se samjh lete hai taki ap step by step samajh jae ki apko krna kya hai .

Ab suppose apne ek domain le liye hai godaddy ya bigrock ya kisi bhi aur company se jaise –

http://Harshblog.com

Ab apko isme apna data dalna hai jaise About us , contact us, blog section ,service section ya kuch bhi – to sbse phle apko ek kisi bhi hosting company ke page pe jana hoga , is post me hm godaddy hosting ki baat krenge ye thodi costly jrur h pr long run me apki website secure rakhegi aur apko website manage krne me koi problem nhi aegi.

Godaddy Hosting me apko jakar apne Domain ke nameservers update kr dene hai taki domain ko pata chal jae ki apki website hosting godaddy pr hi hai . Nameservers kaise update kaise kie jate wo ap youtube pr dekh skte hai , iska bhot asan procedure hota hai .

Jab ap nameservers update kr dete hai to 4 se 8 ghante me apka domain web hosting se connect ho jata hai aur phir apko godaddy hosting se cpanel option dhundna hai aur use khol lena hai . Cpanel apko madad krta hai apki website ke liye wordpress install krne me jis se ap apni website manage kr skte hai .

WordPress install krne ke bad ap dekh skte hai ki apki website ek running condition me ajaati hai , jiske bad apko bas wordpress ki.madad se use customise krna hai aur usme data ko dalna hai .

Also Read : GST Registration Jruri hai ya Nahi ? – Business Advice

Web Hosting se Judi Kuch Important Tips

1. Free hosting use ko koshish kijie choose na krne ki kyoki free hosting me apki website crash hone ki problems rhti hai aur sath hi hosting.provider ap se bina permission liye apki website pr ads dikhata hai jis se apki website ke monetise hone chances kam hojate hai .

2. Ap free hosting na prefer krte hue low cost ki hosting plans le.skte hai jaise atozserver.com ya bluehost.com ki web hosting le skte hai .

3. Dhyan rkhe ki hosting ka login aur password ap kisi file me save krke rakhe kyoki website live hone ke bd 90% chances hote hai ki ap hosting ka password hi bhul jae ya recover na kr paye.

Domain Kya Hai ?

Domain ko asan shabdo me kaha jae to ye apki website ka pata hai jis se koi bhi user apki website pr direct ya indirect visit krta hai .

Domain bhi do trike ke hote hai free aur paid . Free Domains hote hai jinhe ap kisi existing website ki madad se hi chala skte hai aur apko iske koi paise nhi dene hote ye domains free hote hi lifetime ke liye .

For instance – ap ek domain le lete hai Harshblogs.freedomain.com

Ye ek aisa domain hai jo ek existing website ki madad se hi chal skta hai jo hai freedomain.com aur ise ap sub domain bhi keh skte hai . Pr is domain ka ye fayda jrur hai ki ye free hai pr ye nuksan bhi hai ki agar freedomain.com me problem ati hai to iske sabhi sub domains me bhi problem aegi, Jo apke liye problematic ho jaegi .

Finding and Buying a Domain

Apna pasandida domain online purchase ke skte hai jaise godaddy, bigrock jaisi websites se jisme apko apne liye high level secure domains mil jate hai .

Tip – Apke liye behtar rhega agar ap ek high level domain hi khariden kyoki ise google pr ek positive sign mana chahta hai website ki security level aur geneuiness dikhane ke liye .

Toh sirf .com ya .in (agar ap India se hai ) hi purchase kre taki is se apki website ki security level ka pata chal ske aur users apki website pr trust kr skte.

Also Read : Youtube Shorts me Channel Growth kaise Boost Kare – Optimise Youtube Channel Growth with Shorts

FAQ

1. Website management practise ke liye free hosting and domain sahi rhega ?

Yes , bilkul agar ap newbie hai aur website manage aur practise karne ke liye freehosting.com ka use kr sakte hai .

2. Kya free hosting ko paid hosting me convert kia ja sakta hai ?

Yes , agar ap apni website ek paid host pr transfer krna chahte hai to uske liye apko apne free host se website ka data file manager me see copy krna hoga aur as it is use apni new hosting ke file manager me copy krna hoga .

3. Kya free domain ko monetise kiya ja sakta hai ??

Yes , pr ye depend karta hai apke website content , security aur several factors pr . Also free domains pr ye problem hoti h ki domain provider apni ads bhi apke domain pr chalate hai jis se apki website monetise ke chances km hojate hai .

Hope , apko ye post samajh me agai aur agar apka koi sawal hai yo ap niche comment me likh skte hai .

Do like and share this.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *