Whatsapp Admin or Settings se Jude Whatsapp New Feature Jrur Check Krna

Whatsapp pure World me sbse jyada use kiye jaana wala application hai . Agar is par connectivity ki baat kare to Whatsapp par America , Canada , Australia se lekar har country ke log apko mil jate hai .Inti badi community ko handle krne ke liye aur sbki privacy maintain krne ke liye Whatsapp Team new features launch krti rhti hai . Whatsapp application sbse phle America me Brian Acton ne banaya gaya tha uske bad ise Facebook Owner Mark Zuckenberg ne apni Facebook Company (Now Meta ) me le liya . Whatsapp ki popularity ko dekhte hue is application ko Worldwide business , fun chat , social sharing , information sharing aur bhi bahut saare purpose ke liye use kiya jata hai .

Whatsapp par control aane ke bad se hi Meta team se Whatsapp ke har new update me kuch naye features aur privacy control ko lekar jyada se jyada steps liye ja rahe hai . Whatsapp par aane wale dino me ap kuch naye features dekhne waale hai jiske bare me apko is article me btaya gya hai .

Whatsapp New Privacy Features 

Sabhi users ki privacy ko aur bhi secure or group or chat defaults ko khatam krne ke liye Whatsapp me Mark Zuckenberg Owner Whatsapp me bahut saare changes kiye gaye hai . Agar ap in changes ko check krna chahte hai to ap Playstore se Whatsapp ka updated version download kr skte hai . Ye new feature kya hai ap niche dekh skte hai :

1. Silently Group Leave krna 

Aane wale update me apko ye feature mil jaega jisme agar ap kisi group me join hote hai ya galti se apko join kr diya jata hai to ap waha se chup chap leave kr sakenge . Iske liye apki koi bhi notification group me nahi jaegi aur ap us group se bahar ho jaenge . Jaise hi ap group ko leave krenge baki members ko koi notification nahi milta lekin group ke admin ko ek notification mil jaegi ki ap group ko leave kr chuke hai .

2. Particular Contacts ko Online Status Show Hona 

Abhi tak ap Whatsapp me ye setting kar pate the ki apko sabko apna Status Online dikhana hai ya nahi aur ye settings apko sabke liye krni pdti thi . Is se koi bhi user agar apke Whatsapp Number ya Whatsapp Messages ko dekhta tha to use apka Status online ya hide dikhta tha lekin ye settings sabhi users ke liye ek sath ho jati thi . Aaane wale update me ap is settings ko kisi particular user ke liye kar paenge aur ap kisi particular contact ke liye apna Online Status chupa skenge .

Also read : [Download 2022] Khatrimaza Movie Hub 2022: Bollywood All South Hindi Dubbed Movies & Webseries

3. View Once Messsages ke Screenshot par Restriction 

Jaise ki Whatsapp ne apne new version me View Once messages ka option include kiya tha usme agar ap koi photo aur message ko view once category me bhejte hai to wo ek baar dekhne ke bad delete kr diya jata tha. Lekin us message me Screenshot lekar bhi us message ko misuse kr lete the . Jiske liye aane wale Whatsapp update me apko View Once Messages ke screenshot par restriction milegi aur ap un messages ka screenshot bhi nahi le paenge.

View Once Mode ko use krne ke liye is process ko follow krna hoga :

  1. Jise apko message krna hai us user or contact ki window me jaaye .
  2. Message par click krne ke bad Attachment par click kare
  3. Kisi bhi picture ya media ko select kare jise ap bhejna chahte hai
  4. Jaise hi ap select krte hai uske bad apko Caption dalna hota hai uske side me apko ”1” likha hua milega us par click kare.
  5. Ek popup aane par apko OK Click karna hai .
  6. Send Icon par click kare aur message send kar den

Jaise hi ap jis user ko wo media bhej rahe hai wo media open krta hai to us user ko wo chiz sirf ek baar dikhti hai uske bad wo automatically remove ho jati hai aur wha par ”Opened” ka status dikhayi deta hai .

Also read : One Nation One Ration Policy hui Activate – Update nahi kiya to Rashion Nahi Milega

4. Group me Mobile Numbers Hide Krna 

Aane wale update me Whatsapp new feature include kiya jaega jisme ap group me apna mobile number hide kar paenge aur sirf apne nam se message kar paenge . Is se aur bhi privacy security ke purpose ke liye kiya gaya hai . Is se ap kisi bhi group agar join krte hai to Admin ke alawa apka mobile number koi nahi dekh paega aur bina apki jankari ke apka mobile number unke mobile me save bhi nahi hoga .

5. Whatsapp Voice Notes ko Easy Bhejna aur Sunna 

Whatsapp Voice notes ko aur bhi asan banane ke liye voice live editor jaise features Whatsapp me add kiye jaenge . Voice message aane par ap new Whatsapp update ke bad ise slow or fast mode me play kar skenge aur jrurat pdne par ap ise record krke apne mobile me bhi rakh paenge . Whatsapp Voice notes ki length ko lekar bhi baat ki jaa rahi hai jisme ap unlimited length ke voice notes share kar paenge .

6. Whatsapp Admin Power badhana 

Whatsapp Admin ko powers ko lekar bhi Whatsapp ke new feature me kafi changes kiye ja rahe hai jisme Whatsapp group admin kisi bhi user ko default krne ke liye , mis behave krne ke liye ya kisi aur karan se bhi Whatsapp group me leave kr skenge ya remove kr skenge .Is feature ka nam Whatsapp team ne apne twitter handle par Whatsapp Delete ke nam se btaya hai . Isme Whatsapp ke pas option hoga kisi ka bhi message Whatsapp group me delete krne ka jisme us user ko bhi Whatsapp group me show hojaege ki uska message Admin ne remove kr diya hai .

Is option to isliye propose kiya gaya taki group me spamming ko roka ja sake aur Whatsapp admin ko jyada power di ja sake . Agar Whatsapp admin is feature ko use krna chahe to wo is process ko follow kr skte hai :

  1. Whatsapp group chat ko kholen aur messages ko select kare .
  2. Select krne ke bad apko mobile upper side panel me Dustbin ka icon dikhega use daba dena hai .
  3. Is Icon ko dana hai aur iske bad wo sabhi messages delete ho jaenge .

Also read : Remove Mobile Number from TrueCaller Permanently in India

7. Disappearing Messages ko Chat me rakhna 

Agar ap kisi se bahut lambi baat karte hai aur us baat me apko kuch important points ya kuch important documents save krne rakhne hote hai to ap Whatsapp new feature ” Keep the disappearing Message ” ko use kr skte hai aur messages ko store krke rakh skte hai . Is se apko ye fayda hota hai kyoki jyada samay hone par Whatsapp apke purane messages disappear kr deta hai to ap particular messages disappear hone se bacha skte hai  .

8. Whatsapp Scam Control Feature 

Whatsapp new feature update me apko ek naaya feature Scam Control bhi dekhne ko milega jisme ap agar Whatsapp Business ya normal Whatsapp Beta me apni bank details add krte hai aur us se payment krte hai to apko ek Video hamesha dikhayi jaegi ki kaise ap Whatsapp par Scam ko detect kr skte hai aur us se kaise Whatsapp par bach skte hai .

Toh ye Whatsapp new feature aane wale samay me Whatsapp ke new version me add kr diye jaenge . Kuch features Whatsapp par add kr diye ja chuke hai jaise One time view message to ap ise Whatsapp par use kr skte hai . Agar ap ko is post se juda ya Whatsapp se juda koi sawaal puchna hai to ap hame niche comment section me comment krke bta skte hai. 

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *