hsbc cashback credit card , hsbc credit , credit card apply , credit card online , icici credit card , credit schemes hsbc, ondigit, ondigit in , ondigit

Why HSBC Cashback Credit Card is All Time Best for Shopping Online for Students and Jobs Persons ?

Online shopping ke liye credit card ek bahut hi acha option hai jiski madad se ap online shopping ke acche discount ko le hi skte hai wahi pe ap credit card se delayed payment ke options ka benefit  mil jata hai . India me ICICI Bank , Axis Bank or SBI Credit Card bahut hi famous credit cards companies hai jinke apko online maximum shopping offers mil jate hai . In credit cards ko apply krne ke liye apko ek suvidha ye mil jati hai ki apko inke banks localised mil jate hai , par online kuch credit card companies aisi bhi hai jo apko is se jyada benefits dete hai par local reach na hone ki wajh se ap inka benefit nahi le pate . Isi list me ata hai HSBC Cashback Credit card jo ki India me bahut hi kam popular hai .

HSBC ek banking company hai jo ek kisi bhi nationalised bank ki tarah kam krti hai aur India me HSBC ki branches bhi RBI se regulate ki jati hai . HSBC bank India me apko saving accounts , corporate accounts aur retail banking , corporate banking jaise sabhi support deti hai . Aise me apko kisi bhi national bank ki tarah apko HSBC Credit card ki facility bhi deta hai jiska sbse popular product hai HSBC Cashback credit card .

Agar ap HSBC Cashback credit card ke baare me janna chahte hai aur ise kaise ap India me apply kr skte hai sab apko is article me samjhaya gaya hai .

HSBC Bank ki India me kya kya services hai ?

HSBC ek foreign bank hai jo India me banking purpose ke liye apni kuch branches hold krta hai . India me HSBC RBI se regulated hai aur UK Based services se lekar Indian normal banking services sabhi provide krta hai . India me HSBC Bank ki apko bahut hi small number me branches dekhne ko milegi . Par agar bank ki services ki baat kare to apko isme retail , corporate , trust based sabhi services mil jati hai .

HSBC Bank India me apko saving account , corporate account , FD , EMI , Loans , Credit Card , Credit limit , Investment solutions , SIP , Insurance jaise sabhi financial products offer krta hai . All in all , apko HSBC Bank se online sabhi banking facilities mil jati hai . Agar ap UK immigrant hai to ap apni banking HSBC ki branches se kr skte hai .

HSBC Bank India trusted hai ya nahi ?

India me kuch hi international bank branches hai jo trusted hai aur apko help krti hai apke funds ko quicky remit krne me . India me HSBC bhi apni bahut sari bank branches operate krte hai jisme ap online banking facilities ko use kr skte hai . Kyoki ye ek international bank hai to apko isme policies aur services thodi different dekhne ko milti hai .

India me kisi bhi bank ya finance company ki regulation RBI ke through ki jati hai . HSBC Subsidiary International hone ki wajh se RBI ke kafi test aur regulations pass krke hi India me register hota hai . Kyoki ye RBI compliant hai aur UK banking funds se supported hai to ap is bank se koi bhi credit facility ya banking service ke liye trust kr skte hai .

HSBC Cashback Credit card kya hai ?

HSBC bank ki taraf se apko unlimited choices milti hai credit facilities ko lekar . HSBC Cashback credit card ek unique facility hai jisme apko cashback based shopping krne ke liye credit card ki facility milti hai . Is card ki madad se ap online shopping krne par cashback le skte hai . Is card se apko kuch deals ke liye guaranteed cashback milta hai aur kuch ke liye apko ek proportion me cashback milega , matlab kisi percentage par cashback milta hai .

HSBC Cashback credit card se ap 1.5 percent tak ka cashback le skte hai aur ise apply krne ke liye bhi apko kuch bhi fees nahi deni hoti . Isme apko sbse jyada benefit milta hai apki shopping budget ke according jisme ap 1 lakh se jyada ki monthly spending krte hai to apko isme Rs 750 ka service charge ka discount bhi mil jata hai .

Also read : Shaadi Rishte Online Karwakar Kaise Income Kar Skte hai ?

HSBC Cashback Credit card ko kaise online apply kr skte hai ?

HSBC Cashback Credit card apply krne ke liye kuch khaas eligibility nahi btayi gayi aur ise apply krne ke liye apko HSBC bank me account hona bhi jruri nahi hai .Ap is credit card ke liye online ya nearby HSBC Branch me jakar apply kr skte hai . HSBC Credit card apply krne ke liye is process ko follow kare :

1.HSBC Cashback Credit application form ke liye online HSBC Credit Card Portal par jaaye .

2. Apni Basic Information me Email or Mobile number dale .

3. Next krke apke Personal Details details fill kare .

4. Iske bad apko apne Employement or Business details likhe jiske bad apko use review krna hai .

5. Sabhi details fill krne ke bad apna consent online submit kare .

Sabhi details online fill krne ke bad apko HSBC Bank ke taraf se verification ke liye contact kiya jaega aur uske bad apko HSBC Cashback credit card issue kr diya jaega .

HSBC Cashback Credit card ko apply krne ke liye kya eligibility hai ?

HBSC Cashback Credit apply krne ek liye kuch basic eligibility btayi gayi hai :

  1. Apko  minimum annual income Rs 3 lakh honi chahiye .
  2. Resident Indian is card ko apply kr skte hai .
  3. India me applicant ko in cities Bengaluru, Chennai, Gurugram, Hyderabad, Mumbai, New Delhi, Noida, Pune, Chandigarh, Kolkata, Jaipur and Ahmedabad ka resident hona jruri hai .
  4. Ye card sirf employed salaried ke liye hai .

Ap online bhi apne credit card ko approve krwa skte hai jisme ap video call par bhi apne documents verify krwa skte hai aur apko video KYC par bhi card approve kr diya jaega.

Also read : Rishte ke liye Biodata Kaise Banate Hai Aur Biodata ke Kya Benefits hai ?

HSBC Cashback Credit card par kya kya benefits milte hai ?

HSBC Cashback Credit card se shopping krne par new customer hone ke sath sath agar ap purane customer bhi hai to apko unlimited online shopping offers milte hai . Naye customers ke liye Rs 2500 ki minimum spending par HSBC ki taraf se Swiggy Vouchers or Amazon subscription jaise offers diye gaye hai .

HSBC se shopping ke liye apko 100+ brands ke sath partner offers milte hai jisme apko ache se acha cashback milta hai . HSBC se supported kuch famous brands jaise TataCliq , BookMyShow , Amazon , Cleartrip , Goibibo , Samsung , Ajio jaise bahut se big brands apko acche se ache discount offers dete hai .

HSBC Cashback credit card benefits list me apko insurance benefits, free card replacement , emergency card replacement aur bahut se credit card service benefits offer kiye gaye hai .

HSBC Cashback Credit Card apply krne ke bad kitne time me ajata hai ?

Online ap HSBC Banking website par bahut se alag alag credit card apni needs ke according apply kr skte hai . HSBC Credit cards ki list ap online HSBC Banking portal par bhi check kr skte hai . Once the credit card is applied and the verification is completed , the bank issues the card and an sms for its dispatch to the applicant . To track your credit card , you can check for the bluedart or DHL Courier service.

HSBC Cashback Credit card ko use krne ke kya kya charges hai ?

HSBC Cashback Credit card ko apply krne ke liye online or offline mode me koi joining fees nahi rakhi gayi hai aur agar ap is card ko use krte hai to 1 lakh se kam spending par apko 750 INR annual charges dene hote hai . Is se alag apko koi charges nahi dene hote aur isme koi hidden charges bhi nahi hote .

Also read : Over Eating at Night ? – Know How you can face Bulimia Nervosa Problem in USA

HSBC Cashback Credit card se related problems ka solution kaise milega ?

Agar ap HSBC Credit card se related koi bhi question puchna chahte hai ya ap apne cards se related problem hai to ap HSBC ke in contact points par contact kr skte hai :

Resident Customers

Within India (Toll Free)

From Overseas

HSBC Premier 1800 266 3456

1800 120 4722

+91-40-61268001

+91-80-71898001

HSBC Personal Banking / Credit Cards 1800 267 3456

1800 121 2208

+91-40-61268002

+91-80-71898002

Business Banking# 1800 274 3211 (Toll Free) +91-22-50166043
Retail Business Banking (RBB) – For general queries 1800 419 5400

1800 123 2979

+91-40-61268004

+91-80-71898004

Retail Business Banking (RBB) –
For HSBCNet queries
1800 120 2210 +91-022-50323533

Hope , apko HSBC Cashback credit card se related ye article informative lga hoga . Agar ap is credit card ko apply krne me ya ise cancel krne me koi help chahiye to ap hame niche comment section me comment krke bta skte hai .

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *