free web hosting , paid hosting plans , hosting plans , web hosting for free , infinity free login

Will free hosting work as compared to paid hosting ?

Hello friends ,

I am back with a new blog , hope you are all doing fine .

Agar ap soch rahe h ki ap ek free website bna skte hai without investment toh han ap bilkul sahi soch rahe h pr shart ye h ki apko bas uske lie kuch compromises krne pdte hai , ye compromises apko costly bhi pad skte hai .

Isi se judi h ye post jisme apko btane ki koshish ki gai hai ki yadi ap free hosting se apni website bnane ke baare m soch rahe h to iske kya fayde h kya nuksan h kya ye possible h sb apko btaya gaya hai .

Introduction

Is blog ki pichle kuch posts me apne padha hoga ki web hosting kya hoti hai ya free hosting aur paid hosting me.kya fark hai . Par is post me hm sirf ek jruri baat cover krenge ki kya apko free hosting leni chahiye , kya apki website free hosting pr ache se chal skti hai aur isme ane wali problems kya kya hai .

Free hosting me apko kisi b company ki hosting mil jati h jo kisi bhi private company dwara banaya gaya apna server hota hai , ye jyadatar trusted nhi hote bas inme website store krna free hota hai aur risky bhi .

Free Hosting Work or Not ?

Apni website ke liye agar ap practise ke liye without investment apni website shuru krna chahte hai to ap bilkul free hosting use kr skte hai .India top free hosting websites hai jaise :

1. Freehosting.com

2. 000webhost.com

3. Infinityfree Hosting

4. Hostinger.com

Ye kuch aisi websites hai to kai salo se free hosting provide kr rhi hai . Par apne kbhi socha h ki agar ye website itni achi or trusted h to godaddy or bigrock.jaisi trusted websites apni hosting ke itne mehnge plans kyo deti hai .

Iska logic kuch is tarike se hai agr ap free hosting lete hai to wo hosting company simple way me kaha jae to apki website trap kr leti hai jisme website ap create krte hai lekin company apni advertisement apki website pr dikhati hai aur apko ek limited access deti hai apko apki website manage krne ke liye kyoki ye free servers apki website ki files ko control.krke usme ad codes place kr dete h jis se free hosting dene k badle.ye companies ap.se free revenue generate krti hai .

Ab bat ai kitne hosting kam krti h ya nhi ? Agar ap practise ya website management ka ek demo lena chahte hain to apko yhi recommend rahega ki ap website ko free hosting parr chalae aur iske ek saal to ache se listing kre . Sath hi ap cheap hosting pe bhi apni website create kr skte hai .

Free Hosting ke Nuksan

Ab ye kehne ya sunne me acha lgta h.ki free ki cheez mile to achi pr agar us free ki cheez se apka double nuksan hone lage to kya ap free ki cheez phir bhi lena pasand krenge .

Aisa hi kuch free hosting ka h , agar ap free hosting lekar website create krte hai to sbse phle apki website free hosting ko chalane wali company aage krti hai jisme wo apni ads apki website pr chalate hai .

Dusra agar ap ye hosting use krte hai to apki website 99% crash hone ke.chances rehte h jisme kbhi apki website unavailable ho skti h ya kbhi b hack ho skti hai .

Iski sbse bdi disadvantage ye h ki jab apni free website create krte hai to ap iske actual website files ko access nhi kr pate jiski wajah se apko apni mehnat se bnayi hui website ka data kisi paid hosting me transfer krne me problem ho skti hai .

Free hosting me agar ap ek saal tk kisi b hosting ko use kr lete hai to apko iske kuch charges nhi dene hote par apki websites popup ads aur irritating ads se bhar jati h jo as per google analytics apki website ka bounce rate badha deti hai . Bounce rate bdne se apko ye nuksan hota hai ki apke visitors apki website se tng hokar bhar nikal jate hai wo b apka content dekhe bina .

Opinion

Ab website shuru kre to kre kaise , apko krna bs itna hai ki koi b cheap hosting lena hai aur ap apni website us par shot krke shuru kr skte hai .

Hope , apko ye post achi lgi hogi agar apko koi aur sawaal ka.jwab chahiye to ap niche likhe skte hai .

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *